Chehre Pe Mere Zulf Ko Poetry

Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din kya roz garajte ho baras jaao kisi din

Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din
kya roz garajte ho baras jaao kisi din

Raazon ki tarah utro mere dil mein kisi shab
dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din

Pedon ki tarah husn ki baarish mein naha lun
baadal ki tarah jhoom ke ghir aao kisi din

Khushboo ki tarah guzro mere dil ki gali se
phoolon ki tarah mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko khairaat mile band-e-qaba ki
phir lutf-e-shab-e-wasl ko dohraao kisi din
Guzrein jo mere ghar se toh ruk jaayen sitaare
iss tarha meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni har ek saans ussi raat ko de dun
sar rakh ke mere seene pe so jaao kisi din

Popular posts from this blog

Ibn-e-Maryam Howa Kare Koi

Poet Mirza Ghalib   Ibn-e-Maryam Howa Kare Koi, Mere Dukh Ki Dawa Kare Koi, Shura-o-Ain Par Madar Sahi, Aise Qatil Ka Kia Kare Koi, Chal Jaise Kadi Kaman Ka Teer, Dil Mein Aise K Ja Kare Koi, Bat Par Wan Zuban Katti Hai, Wo Kahein Aur Suna Kare Koi, Bak Raha Hon Janoon Mein Kia Kia Kuch, Kuch Na Samjhe Khuda Kare Koi, Na Suno Gar Bura Kahe Koi, Na Kaho Gar Bura Kare Koi, Rok Lo Gar Ghalat Chale Koi, Bakhsh Do Gar Khata Kare Koi, Kon Hai Jo Nahi Hai Hajat Mand, Kisi Ki Hajat Rawa Kare Koi, Kia Kia Khizar Ne Sikandar Se, Ab Kise Rahnuma Kare Koi, Jab Tawaqo Hi Uth Gai, GHALIB Kion Kisi Ka Gila Kare Koi...........!

Kaise Bataon Main Tumhain Mere Liye Tum Kon Ho

Kaise Bataon Main Tumhain Mere Liye Tum Kon Ho, Kaise Bataon Main Tumhain Tum Dharkano Ka Geet Ho Jeewan Ka Tum Sangeet Ho, Tum Zindagi Tum Bandagi Tum Roshni, Tum Tazgi Tum Har Khushi, Tum Pyar Ho Parmet Ho Man Meet Ho, Aankhon Mein Tum Yadon Mein Tum, Sanson Mein Tum Aanhon Mein Tum, Neendon Mein Tum Khabon Mein Tum, Tum Ho Meri Har Bat Mein Tum Ho, Mere Din Rat Mein Tum Subha Mein Tum, Sham Mein Tum Soch Mein Tum, Kaam Mein Mere Liye Panaa Bhi Tum, Mere Liye Khona Bhi Tum Mere Liye Hansna Bhi Tum, Mere Liye Rona Bhi Tum Aur Jagna Sona Bhi Tum, Jaon Kahein Dekhon Kahein, Tum Ho Wahan Tum Ho Wahein, Kaise Bataon Main Tumhain, Tum Bin To Main Kuch Bhi Nahi, Kaise Bataon Main Tumhain Mere Liye Tum Kon Ho, Ye Jo Tumhara Roop Hai Ye Zindagi Ki Dhoop Hai, Chand Se Tarasha Hai Badan, Behti Hai Jis Mein Aik Agan Ye Shokhian, Ye Mastian Tum Ko Hawaon Se Milain, Zulfain Ghataon Se Milain Hon

Tum Bin Jiya Jaye Kaise Kaise Jiya Jaye Tum Bin Lyric

Poet Qateel Shifai    Tum Bin Jiya Jaye Kaise, Kaise Jiya Jaye Tum Bin, Sadion Si Lambi Hain Ratain, Sadion Se Lambe Howay Din, Aa Jao Lout Kar Tum Ye Dil Keh Raha Hai, Phir Sham-E-Tanhai Jagi, Phir Yad Tum Aa Rahe Ho, Phir Jan Nikalne Lagi Hai, Phir Mujh Ko Tarpa Rahe Ho, Is Dil Mein Yadon K Mele Hain, Tum Bin Bahut Hum Akele Hain. Kia Kia Na Socha Tha Main Ne, Kia Kia Na Sapne Sajaye, Kia Kia Na Chaha Tha Dil Ne, Kia Kia Na Arman Jagaye, Is Dil Se Toofan Guzarte Hain, Tum Bin To Jeete Na Marte Hain, Aa Jao Lout Kar Tum Ye Dil Keh Raha Hai, Tum Bin Jiya Jaye Kaise, Kaise Jiya Jaye Tum Bin..............! Kuliat Qateel Shifai Page 34

Aye Watan Pyare Watan Pak Watan Pak Watan (Lyric)

Singer Amant Ali Khan    Aye Watan Pyare Watan Pak Watan Pak Watan, Ae Mere Pyare Watan, Tujh Se Hai Meri Tamanaon Ki Dunia Pur Noor, Azm Mera Kahein Mere Irada Hai Ghayouoor, Meri Hasti Mein Ana Hai Meri Masti Mein Shaoor, Jan Fiza Mera Takhayoul Hai To Shireen Hai Sukhan, Aye Mere Pyare Watan, Too Dil Afroz Baharon Ka Taro Taza Chaman, Too Mehakte Howe Phoolon Ka Suhana Gulshan, Too Nawarez Ana Dil Ka Bahari Masqan, Rang-O-Ahang Se Mamoor Tere Koho Chaman, Aye Mere Pyare Watan, Mera Dil Teri Tamanaon Ka Jan Bakhsh Daiyar, Mera Seena Teri Hurmat Ka Hai Sangeen Hisar, Mere Mehboob Watan, Tujh Pe Agar Jan Ho Nisar Mein Ye Samjhon Ga, Thikane Laga Sarmaya-e-Tan, Aye Mere Pyare Watan................!

Meri Aankhon Mein Tere Pyar Ka Aanso Aaye

Poet: Basheer Badar Typ By *._Ayaz Khan_.*    Meri Aankhon Mein Tere Pyar Ka Aanso Aaye. Koi Khushbo Main Lagaon Teri Khushbo Aaye. Rat Aankhon Mein Dhali Palkon Pe Jugno Aaye. Hum Hawaon Ki Tarah Ja K Usay Choo Aaye. Is Ka Dil, Dil Nahi Pathar Ka Kaleja Ho Ga. Jis Ko Phoolon Ka Hunar Aanso Ka Jado Aaye. Main Ne Din Rat KHUDA Se Dua Mangi Thi. Koi Aahat Na Ho Dar Par Mere Jab Too Aaye. Waqt-E-Rukhsat Kaheen Taare Kaheen Jugnu Aaye. Haar Pehnane Mujhe Phol Se Bazu Aaye. in Dino Aap Ka Aalam Bhi Ajab Aalam Hai. Teer Khaya Howa Jaise Koi Aahu Aaye. Khubsurat Hain Bahut Dunia K Jhote Wade. Phool Kaghaz K Liye Kanch K Bazu Aaye, Us Ki Batain K Gul-O-Lala Pe Shabnam Parse. Sub Ko Apnane Ka is Shokh Ko Jadu Aaye. Us Ne Chho Kar Mujhe Pathar Se insan Kia. Mudaton Bad Meri Aankhon Mein Aansu Aaye.........! Book: AAHAT Page: 29 to 30

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim Rasm-E-Dunia Bhi Hai Moqa Bhi

Image

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim, Rasm-e-Dunia Bhi Hai, Moqa Bhi Hai, Dastoor Bhi Hai, Ishq Is Tarha K Gustakh Taqaze Na Kare, Husn Mastoor Bhi, Majboor Bhi, Maghroor Bhi Hai, Gharoor-e-Husn K Sadqe Mohabbat Youn Nahi Karte, Bhari Mehfil Mein Zahir Dil Ki Wehshat Youn Nahi Karte, Ye Mana Tum Haseen Ho Aur, Tumhain Haq Hai Shararat Ka, Kisi Ki Jan Pe Bann Jaye Shararat Youn Nahi Karte, Jise Tum Husn Kehte Ho Wo Kaba Hai Nighahon Ka, Adaab Laazim Hai Kabe Ki Ziarat Youn Nahi Karte, Kuch Apne Husn Ki Khairat De Do Humain, Kisi Sail Ko Apne Dar Se Rukhsat Youn Nahi Karte, Haya Aur Sharm Hum Ko Husn Zaiwar Samajhte Hain, Ye Zaiwar Lut K Reh Jaye Sakhawat Youn Nahi Karate, Tumhari Ek Nazar Par Faisla Hai Zindgani Ka, Maseeha Ho K Bemaron Se Ghaflat Youn Nahi Karte, Aap Ne Jo Kaha Wo Theek Sahi, Mera Kehna Bhi Bura Nahi, Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim..............!

Hum Lakh Chupain Pyar Magar Dunia Ko Pata Chal Jaye Ga lyric

Singer Kumar Sano    Hum Lakh Chupain Pyar Magar, Dunia Ko Pata Chal Jaye Ga. Lekin Chup Chup K Milne Se, Milne Ka Maza To Aaye Ga. Tum Kitne Bhole Bhale Ho, Har Bat Ko Khel Smajhte Ho. Main Jab Dunia Ki Kahata Hon, Tum Apne Dil KI kahati Ho. Ye Pyar Humara Rab Jane Jane Kia Rang Laye Ga. Lekin Chup Chup K Se Milne Se, Milne Ka Maza To Aaye ga Ye Mast Hawa Mehaki Ye Fiza, Aankhon Mein Nasha Sa Chata Hai. Ek Rang Khushi Ka Ata Hai, Ek Rang Khushi Ka Jata Hai. Ye Meetha Meetha Dard Mujhe, Din Rat Youn Hi Tarapaye Ga. Lekin Chup Chup K Milne Se, Milne Ka Maza To Aaye Ga. Tum In Banhon K Ghere Mein, Ankhain Ban Kar K So Jao. Kal Kia Ho Ga Ye Bhool K Tum, Meethe Sapano Mein Kho Jao. Main Rakhawala Is Tan Man Ka Jo Ho Ga Dekha Jaye Ga. Lekin Chup Chup K Milne Se, Milne Ka Maza To Aaye Ga........!

Chehre Pe Mere Zulf Ko Poetry

Source: https://hijars.blogspot.com/2016/12/chehre-pe-mere-zulf-ko-phailaao-kisi.html

0 Response to "Chehre Pe Mere Zulf Ko Poetry"

Post a Comment

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel